Zindgani ka Safar!
Ye zindgi sirf ek safar ha.. maut is ki inteha ha, or hamary is safar ki manzil b maut he ha!
![]() |
Safar ki manzil b maut he ha |
Hum maut ki khawahish na b kren tb b hamari manzail maut hi ha
Or han bat rhi khawahishat ki
To ye zindgi ye dunia ye mohabat ye qurbat,
Ye kisi ko khawahish ka he to nateeja ha,
Khawahishat ko pura kr liya usny, per kia wo khush ha apni is khawaish ko pura kr k?
Chalen usy choren...
Hum jo k zindgi guzar rhy hain, kia hum khush hain uski is khawahish se?
Kia hum waqai khasary me hain ya mehaz kh diya gya or eman le aya gya?
Zindgi me rh k zindgi ki tamna se dil be-zar ho jae to smjh lijye k apny zindgi ka maksad khoj liya ha or ab ap apni maut ko jub chahy galy lga skty hain jiska nuksan sirf ye hoga k ap be-mausmi maut k dukh apny virsy me chor jaen gy
Jese apki auld ko paida krna apk hath me ha, ap chayen to aulad paida kren or na chaen to aulad na paida kren..
Esi tarhan sabit kia ja skta ha ek maa ki uski aulad se mohabat ko,
Maa ko elam ha k zindgi ka safar kitna dushwar ha to wo q apny lakht-e-jigar ko paida kr k is dushwar zindgi ka musafir bany gi or phr haqooq-ul-ebad ki saza ka nishana banaye gi
Isi tarhan se, zindgi ka kahtma b apk hath me ha.. agr ap apny logon se itni nafrat krty hain ya yo'u khen k agr apk liye apny logon se mohabat ka para buht kam ho chuka ha k unko be-mausmi maut ka dukh de skty hain to ap apni zindgi pur-sakoon tareeky se khatm kr skty hain
Per yahan per hakeeki bat ye ha k ap khud us d hui be-mausmi wafat/maut k dukh se do-char ho jain gy or zinda rhty huy he ap per ek kap-kapahat tari ho jae gi or ap zindgi ka khatama ni kren gy
Or ab chu-k, apny zindgi ko khtm krny ki khawahish ko pura ni kia is liye ap preshan-kun halat me jakar jain gy or baki ki zindgi afsurda guzr jae gi
Bus, zindgi ka ye safar afsurdgi se bhara para ha jis me rahat o skoon ki tamna b na-pak ha yahan per yani is safar me musafir ko bus rhna ha to be-da'ar!!
Post a Comment
0 Comments
Please do not entery any spam link in the comment box!